Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_02c90607e0cbb1cb5b1eada20afa3f53, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Mera Hai To Kabhi Bhi Na Aazmaun Use - Ashhad Bilal Ibn-e-chaman Poetry In English - Darsaal

Wo Mera Hai To Kabhi Bhi Na Aazmaun Use

wo mera hai to kabhi bhi na aazmaun use

mera nahin hai to phir kis liye sataun use

wo mahtab se baDh kar ke ho gaya suraj

jo KHud bhi aae to kaise gale lagaun use

main chahta hun mera pyar us se aisa ho

wo ruThta rahe main bar-ha manaun use

tamam din ki mashaqqat-bhari takan ke baad

tamam raat mohabbat se phir jagaun use

mera habib mere ishq mein khilauna ho

wo TuT jae to phir joD kar banaun use

hua kare mera us se muqabla yun bhi

usi se jit ke us ko hi haar jaun use

wo jaanta hai mere har sawal ka matlab

agar jawab bhi de de to man jaun use

yahi dua hai meri rabb-e-do-jahan se 'bilal'

kisi se ahd karun gar to phir nibhaun use

(1012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mera Hai To Kabhi Bhi Na Aazmaun Use In English By Famous Poet Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Wo Mera Hai To Kabhi Bhi Na Aazmaun Use is written by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Read famous Poem Wo Mera Hai To Kabhi Bhi Na Aazmaun Use for youth and Student by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Free Download Wo Mera Hai To Kabhi Bhi Na Aazmaun Use in PDF.