Yaad Rakkhega Mera Kaun Fasana Mere Dost

yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost

main na majnun hun na majnun ka zamana mere dost

hijr insan ke KHad-o-KHal badal deta hai

kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost

sham Dhalne se faqat sham nahin Dhalti hai

umr Dhal jati hai jaldi palaT aana mere dost

roz kuchh log mere shahr mein mar jate hain

ain mumkin hai Thahar kar chale jaana mere dost

tum agar ab bhi khanDar dekh ke KHush hote ho

to kisi din meri jaanib nikal aana mere dost

jaise miTTi ko hawa sath liye phirti hai

main kahan aur kahan mera Thikana mere dost

(1220) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Rakkhega Mera Kaun Fasana Mere Dost In English By Famous Poet Ashfaq Nasir. Yaad Rakkhega Mera Kaun Fasana Mere Dost is written by Ashfaq Nasir. Read famous Poem Yaad Rakkhega Mera Kaun Fasana Mere Dost for youth and Student by Ashfaq Nasir. Free Download Yaad Rakkhega Mera Kaun Fasana Mere Dost in PDF.