Ranj Jo Dida-e-namnak Mein Dekha Gaya Hai
ranj jo dida-e-namnak mein dekha gaya hai
ye faqat sina-e-sad-chaak mein dekha gaya hai
is se aage hai miyan muntziron ki basti
ek diya jalta hua taq mein dekha gaya hai
ai junun us ki kahani bhi sunaunga tujhe
ye jo paiwand mere chaak mein dekha gaya hai
yani ek aankh abhi DhunDhti phirti hai mujhe
yani ek tir meri tak mein dekha gaya hai
ek KHwahish ka mere dil mein utarna 'ashfaq'
ek sharara KHas-o-KHashak mein dekha gaya hai
hijr aur dasht mein jo shaKHs bhi Thahra 'ashfaq'
tajraba uDti hui KHak mein dekha gaya hai
(823) Peoples Rate This