Pila Tha Chand Aur Shajar Be-libas The
pila tha chand aur shajar be-libas the
tujh se bichhaD ke ganw mein sare udas the
socha to tu magan tha faqat meri zat mein
dekha to kitne log tere aas-pas the
jab hum na mil sake to hamein manna paDa
basti ke log kitne sitara-shanas the
dil is pe mutmain tha ki hum ek ho gae
lekin kai guman meri sochon ke pas the
wo phul ho sitara ho shabnam ho jhil ho
teri kitab-e-husn ke sab iqtibas the
'ashfaq' us ko dekh ke hum se ghazal hui
muddat se warna hum to yunhi mahw-e-yas the
(1661) Peoples Rate This