Main Sikhta Raha Ek Umr Haw-hu Karna

main sikhta raha ek umr haw-hu karna

yunhi nahin mujhe aaya ye guftugu karna

abhi talab ne jhamelon mein Dal rakkha hai

abhi to sikhna hai teri aarzu karna

hamein charaghon se Dar kar ye raat bit gai

hamara zikr sar-e-sham ku-ba-ku karna

bhala ye kis ne kaha tha hayat-baKHsh hai ye ishq

kabhi mile to use mere ru-ba-ru karna

kise KHabar kise milta hai lams-e-fikr-e-rasa

KHayal-e-yar ke zimme hai justuju karna

mujhe bhi ranj hai murjha gae wo phul se log

bata raha hai mera zikr-e-rang-o-bu karna

sukut-e-shab ne sikhaya tha mujh ko aaKHir-e-shab

bala ka shor ho jab KHamushi rafu karna

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Sikhta Raha Ek Umr Haw-hu Karna In English By Famous Poet Ashfaq Nasir. Main Sikhta Raha Ek Umr Haw-hu Karna is written by Ashfaq Nasir. Read famous Poem Main Sikhta Raha Ek Umr Haw-hu Karna for youth and Student by Ashfaq Nasir. Free Download Main Sikhta Raha Ek Umr Haw-hu Karna in PDF.