Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c643581c2b604336ad06583e8c04f3fd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajab Tarah Ke Kamal Karne Bhi Aa Gae Hain - Ashfaq Nasir Poetry In English - Darsaal

Ajab Tarah Ke Kamal Karne Bhi Aa Gae Hain

ajab tarah ke kamal karne bhi aa gae hain

bichhaD ke ab mah o sal karne bhi aa gae hain

jo meri baaton ko manta tha bila-taamul

suno use ab sawal karne bhi aa gae hain

suna hai logon se ab wo milta hai muskura kar

use talluq bahaal karne bhi aa gae hain

wo shaKHs jis ki KHushi ka bais thin meri baaten

use ab un par malal karne bhi aa gae hain

suna hai ab rasta badalta hai wo achanak

use to rahi niDhaal karne bhi aa gae hain

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Tarah Ke Kamal Karne Bhi Aa Gae Hain In English By Famous Poet Ashfaq Nasir. Ajab Tarah Ke Kamal Karne Bhi Aa Gae Hain is written by Ashfaq Nasir. Read famous Poem Ajab Tarah Ke Kamal Karne Bhi Aa Gae Hain for youth and Student by Ashfaq Nasir. Free Download Ajab Tarah Ke Kamal Karne Bhi Aa Gae Hain in PDF.