Zara Zara Hi Sahi Aashna To Main Bhi Hun
zara zara hi sahi aashna to main bhi hun
tumhaare zaKHm ko pahchanta to main bhi hun
na jaane kaun si aankhon se dekhte ho mujhe
tumhaari tarah se TuTa hua to main bhi hun
tumhi pe KHatm nahin mehr-o-mah ki gardish
shikast-e-KHwab ka ek silsila to main bhi hun
tumhein manane ka mujh ko KHayal kya aae
ki apne aap se ruTha hua to main bhi hun
mujhe bata koi tadbir rut badalne ki
ki main udas hun ye jaanta to main bhi hun
talash apni KHud apne wajud ko kho kar
ye kar-e-ishq hai is mein laga to main bhi hun
rumuz-e-harf na hath aae warna ai 'ashfaq'
zamane bhar se alag sochta to main bhi hun
(1660) Peoples Rate This