Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5b7481b27f75fb5e6298b6526232304, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Aankh Na Us Dil Se Nikale Hue Hum Hain - Ashfaq Husain Poetry In English - Darsaal

Us Aankh Na Us Dil Se Nikale Hue Hum Hain

us aankh na us dil se nikale hue hum hain

yun hai ki zara KHud ko sambhaale hue hum hain

is bazm mein ek jashn-e-charaghan hai unhi se

kuchh KHwab jo palkon pe ujale hue hum hain

kuchh aur chamakta hai ye dil jaisa sitara

kin dard ki lahron ke hawale hue hum hain

dil hai ki koi faisla kar hi nahin pata

ek mauj-e-tazabzub ke uchhaale hue hum hain

wo ho na saka apna to hum ho gae us ke

us shaKHs ki marzi hi mein Dhaale hue hum hain

is mamlikat-e-lafz-o-bayan mein bhi to 'ashfaq'

ek rah alag apni nikale hue hum hain

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Aankh Na Us Dil Se Nikale Hue Hum Hain In English By Famous Poet Ashfaq Husain. Us Aankh Na Us Dil Se Nikale Hue Hum Hain is written by Ashfaq Husain. Read famous Poem Us Aankh Na Us Dil Se Nikale Hue Hum Hain for youth and Student by Ashfaq Husain. Free Download Us Aankh Na Us Dil Se Nikale Hue Hum Hain in PDF.