Itna Be-nafa Nahin Us Se BichhaDna Mera
itna be-nafa nahin us se bichhaDna mera
anjuman-saz hua hai dil-e-tanha mera
sar-nigun hone nahin deta ye ehsas mujhe
main to TuTa hun magar KHwab na TuTa mera
kaun hain wo jinhen aafaq ki wusat kam hai
ye samundar na ye dariya na ye sahra mera
ek hi lamha-e-maujud mein maujud hun main
aur ek lamhe ka hona hai na hona mera
dil mein sau tir taraazu hue tab ja ke khula
is qadar sahl na tha jaan se guzarna mera
kaise tarsil-e-suKHan ki koi surat nikle
ye zaban meri nahin hai na ye lahja mera
main abhi sair-e-jahan-bini mein gum hun 'ashfaq'
aasman dekh raha hai abhi rasta mera
(1075) Peoples Rate This