Dil Ek Nai Duniya-e-maani Se Mila Hai
dil ek nai duniya-e-maani se mila hai
ye phal bhi hamein naql-e-makani se mila hai
jo nam kabhi naqsh tha dil par wo nahin yaad
ab us ka pata yaad-dahani se mila hai
ye dard ki dahliz pe sar phoDti duniya
is ka bhi sira meri kahani se mila hai
khoe hue logon ka suragh ahl-e-safar ko
jalte hue KHemon ki nishani se mila hai
KHatir mein kisi ko bhi na lane ka ye andaz
biphri hui maujon ki rawani se mila hai
lafzon mein har ek ranj samone ka qarina
us aankh mein Thahre hue pani se mila hai
ye subh ki aaghosh mein khilta hua manzar
ek silsila-e-shab ki girani se mila hai
(920) Peoples Rate This