Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_95441dbcee2fd8b59a7d671a5061a73e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ajnabi Des Mein Laga Hai - Ashfaq Husain Poetry In English - Darsaal

Dil Ajnabi Des Mein Laga Hai

dil ajnabi des mein laga hai

aandhi se diye ka rabta hai

TuTe hue log hain salamat

ye naql-e-makani ka moajaza hai

koi bhi nahin yahan pe aazad

dhoka ye faqat nigah ka hai

main jis mein nahin hun aur wahin hun

wo ghar meri rah dekhta hai

baDh jaengi aur uljhanen kuchh

lauT aane se faeda bhi kya hai

jab DhunD liya use to jaana

mera hi wajud kho chuka hai

'ashfaq' har ek lamha-e-zist

jine ka KHiraj mangta hai

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ajnabi Des Mein Laga Hai In English By Famous Poet Ashfaq Husain. Dil Ajnabi Des Mein Laga Hai is written by Ashfaq Husain. Read famous Poem Dil Ajnabi Des Mein Laga Hai for youth and Student by Ashfaq Husain. Free Download Dil Ajnabi Des Mein Laga Hai in PDF.