Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_87ac526bf36325f07e59c9a7beb99c12, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Laga Ho Dil To KHayalat Kab Badalte Hain - Ashfaq Amir Poetry In English - Darsaal

Laga Ho Dil To KHayalat Kab Badalte Hain

laga ho dil to KHayalat kab badalte hain

ye inqalab to ek be-dili mein palte hain

nikal chuke hain bahut dur qafile wale

hamein KHabar nahin hum kis ke sath chalte hain

kabhi hamein bhi milao to aise logon se

ki jin ki aankh mein ab tak charagh jalte hain

ye raat aisi hawaen kahan se lati hai

ki KHwab phulte hain aur zaKHm phalte hain

ruton ne apne qarine badal liye lekin

hamare taur wahi hain nahin badalte hain

ab e'tibar pe ji chahta to hai lekin

purane KHauf dilon se kahan nikalte hain

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laga Ho Dil To KHayalat Kab Badalte Hain In English By Famous Poet Ashfaq Amir. Laga Ho Dil To KHayalat Kab Badalte Hain is written by Ashfaq Amir. Read famous Poem Laga Ho Dil To KHayalat Kab Badalte Hain for youth and Student by Ashfaq Amir. Free Download Laga Ho Dil To KHayalat Kab Badalte Hain in PDF.