Ek Pal Mein Kya Kuchh Badal Gaya Jab Be-KHabron Ko KHabar Hui
ek pal mein kya kuchh badal gaya jab be-KHabron ko KHabar hui
main tanhai mein chhupa raha jab mujh par us ki nazar hui
ek chand chamak kar chala gaya phir kitni ghaDiyan guzar gain
mujh ko to kuchh bhi KHabar na thi kab raat hui kab sahar hui
thi husn ki chhab ek ajab ada jab phul sa chehra mahak uTha
wo manzar mujh ko jacha bahut phir umr usi mein basar hui
aana bhi tera ghazab hua is shahr ka manzar badal gaya
bhaunchaal sa aaya gali gali har chiz idhar se udhar hui
ye rog laga hai ajab hamein jo jaan bhi le kar Tala nahin
har ek dawa be-asar gai har ek dua be-asar hui
(801) Peoples Rate This