Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5948a8df614f016243083a0786231904, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yahan To Har GhaDi Koh-e-nida Ki Zad Mein Rahte Hain - Ashar Najmi Poetry In English - Darsaal

Yahan To Har GhaDi Koh-e-nida Ki Zad Mein Rahte Hain

yahan to har ghaDi koh-e-nida ki zad mein rahte hain

tajawz ke bhi mausam mein hum apni had mein rahte hain

bahut mohtat ho kar sans lena mo'tabar ho tum

hamara kya hai hum to KHud hi apni rad mein rahte hain

sarab o aab ki ye kashmakash bhi KHatm hi samjho

chalo mauj-e-sada ban kar kisi gumbad mein rahte hain

saron ke bojh ko shanon pe rakhna mojaza bhi hai

har ek pal warna hum bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan To Har GhaDi Koh-e-nida Ki Zad Mein Rahte Hain In English By Famous Poet Ashar Najmi. Yahan To Har GhaDi Koh-e-nida Ki Zad Mein Rahte Hain is written by Ashar Najmi. Read famous Poem Yahan To Har GhaDi Koh-e-nida Ki Zad Mein Rahte Hain for youth and Student by Ashar Najmi. Free Download Yahan To Har GhaDi Koh-e-nida Ki Zad Mein Rahte Hain in PDF.