Is Safar Mein Nim-jaan Main Bhi Nahin Tu Bhi Nahin
is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin
aur zer-e-saeban main bhi nahin tu bhi nahin
zahr mein Dubi hui parchhaiyon ka raqs hai
KHud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin
na-tamami ke sharar mein roz o shab jalte rahe
sach to ye hai be-zaban main bhi nahin tu bhi nahin
zard lafzon ke dhundalke sham ki aankhon mein hain
garche zeb-e-dastan main bhi nahin tu bhi nahin
na-tawan jismon pe kyun hai gardishon ka mor-nach
shab-gazida aasman main bhi nahin tu bhi nahin
be-asar ho jae jis se dil ka zaKHm-e-atishin
marham-e-wahm-o-guman main bhi nahin tu bhi nahin
shab ki gahri KHamushi bhi gosh-bar-awaz hai
aahaTon ka karwan main bhi nahin tu bhi nahin
ehtiyaton ki guzargahen to pichhe rah gain
ab sada-e-mehrban main bhi nahin tu bhi nahin
(722) Peoples Rate This