Inkishaf-e-zat Ke Aage Dhuan Hai Aur Bas
inkishaf-e-zat ke aage dhuan hai aur bas
ek tu hai ek main hun aasman hai aur bas
aaina-KHanon mein raqsinda rumuz-e-agahi
os mein bhiga hua mera guman hai aur bas
canwas par hai ye kis ka paikar-e-harf-o-sada
ek numud-e-arzu jo be-nishan hai aur bas
hairaton ki sab se pahli saf mein KHud main bhi to hun
jaane kyun har ek manzar be-zaban hai aur bas
ajnabi lams-e-badan ki rengti hain chyunTiyan
kuchh nahin hai saat-e-mauj-e-rawan hai aur bas
(982) Peoples Rate This