Hum Tah-e-dariya Tilismi Bastiyan Ginte Rahe
hum tah-e-dariya tilismi bastiyan ginte rahe
aur sahil par machhere machhliyan ginte rahe
na-tawan shanon pe aisi KHamushi ka bojh tha
apne us ke darmiyan bhi siDhiyan ginte rahe
bazm-e-jaan se chupke chupke KHwab sab ruKHsat hue
hum bhala karte bhi kya bas gintiyan ginte rahe
bans ke jangal se ho ke jab kabhi guzri hawa
ek sada-e-gumshuda ki dhajjiyan ginte rahe
kis hawa ne Das liya hai rang o roghan uD gae
sehn-e-dil se is makan ki khiDkiyan ginte rahe
pahlu-e-shab kal isi chehre se raushan tha magar
jaane kitne mausamon ki talKHiyan ginte rahe
(748) Peoples Rate This