Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d8cc1c1057949871711bf022a1f55769, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shor Kaisa Hai Mere Dil Ke KHarabe Se UTha - Ashar Hashmi Poetry In English - Darsaal

Shor Kaisa Hai Mere Dil Ke KHarabe Se UTha

shor kaisa hai mere dil ke KHarabe se uTha

shahr jaise ki koi apne hi malbe se uTha

ya uTha dasht mein diwane se bar-e-furqat

ya tere shahr mein ek chahne wale se uTha

ya meri KHak ko mil jaane de is miTTi mein

ya mujhe KHun ki lalkar pe kuche se uTha

tu mere pas nahin hota ye sach hai lekin

teri aawaz par har subh mein sote se uTha

chaak pe rakkha hai to lams bhi de hathon ka

meri pahchan tattul ke andhere se uTha

dil ki hai KHun ka ek qatra magar duniya mein

jab uTha hashr isi ek ilaqe se uTha

ye ujalon ki inayat hai ki banda-e-'ashhar'

apne sae pe gira apne hi sae se uTha

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shor Kaisa Hai Mere Dil Ke KHarabe Se UTha In English By Famous Poet Ashar Hashmi. Shor Kaisa Hai Mere Dil Ke KHarabe Se UTha is written by Ashar Hashmi. Read famous Poem Shor Kaisa Hai Mere Dil Ke KHarabe Se UTha for youth and Student by Ashar Hashmi. Free Download Shor Kaisa Hai Mere Dil Ke KHarabe Se UTha in PDF.