Shahr Mein Chhai Hui Diwar-ta-diwar Thi
shahr mein chhai hui diwar-ta-diwar thi
ek pathrili KHamoshi paikar-e-guftar thi
baadalon ki chiTThiyan kya aain dariyaon ke nam
har taraf pani ki ek chalti hui diwar thi
inkishaf-e-shahr-e-na-malum tha har sher mein
tajrabe ki taza-kari surat-e-ashaar thi
aarzu thi samne baiThe rahen baaten karen
aarzu lekin bechaari kis qadar lachaar thi
ghar ki donon khiDkiyan khulti thin sare shahr par
ek hi manzar ki pure shahr mein takrar thi
aansuon ke chand qatron se thi tar puri kitab
har waraq par ek surat mael-e-guftar thi
us se milne ki talab mein ji liye kuchh aur din
wo bhi KHud bite dinon se bar-sar-e-paikar thi
(686) Peoples Rate This