Kya Qadr-e-ana Hogi Jabin Jaan Rahi Hai
kya qadr-e-ana hogi jabin jaan rahi hai
jis shahr mein sajdon ki hi pahchan rahi hai
kuchh hum ne bhi duniya ko sataya hai bahr haal
kuchh apni tabiat se bhi halkan rahi hai
mazbut raha husn-e-nazar se mera rishta
jab tak wo mere shahr mein mehman rahi hai
mai ne bhi diya hai meri wahshat ko baDhawa
do chaar dinon wo bhi nigahban rahi hai
us ko to safar karte nahin dekha kisi ne
rahon ki magar dhul use pahchan rahi hai
wo ho ki na ho farq nahin paDta hai kuchh bhi
ye raat kai sadiyon se viran rahi hai
kya jaane kahan KHatm ho 'ashhar' ki kahani
ab tak to kisi dard ka unwan rahi hai
(851) Peoples Rate This