Ek Shahr Ziya-bar Yahan Bhi Hai Wahan Bhi
ek shahr ziya-bar yahan bhi hai wahan bhi
lekin mera aazar yahan bhi wahan bhi
raushan mere andar ke andheron mein barabar
ek aatish-e-pindar yahan bhi hai wahan bhi
ahbab mere ek hi jaise hain jahan hain
ek jazba-e-isar yahan bhi hai wahan bhi
ek subh tere sath kai mil chale the
us subh ka asrar yahan bhi hai wahan bhi
gar sath azizo na mayassar ho tumhaara
jina mera bekar yahan bhi hai wahan bhi
hai jis ki rawani se lahu garm hamara
wo chashma-e-bedar yahan bhi hai wahan bhi
aankhon se mere dil mein samaya hai jo 'ashhar'
us shoKH ki sarkar yahan bhi hai wahan bhi
(805) Peoples Rate This