Ajnabiyat Thi Magar KHamosh Istifsar Par

ajnabiyat thi magar KHamosh istifsar par

nam us ne ek alamat mein likha diwar par

raegan jati hui umr-e-rawan ki ek jhalak

taziyana hai qanaat-ashna kirdar par

dushmanon ke darmiyan mera muhafiz hai qalam

main ne har talwar roki hai isi talwar par

din ho jaisa bhi guzar jata hai apne taur se

raat hoti hai magar bhaari tere bimar par

sust-gami le ke manzil tak chali aai mujhe

tez-rau ahbab hairan hain meri raftar par

shab ke sannaTe hi mein karta hai sachchi guftugu

shahr apna dukh sunata hai dar o diwar par

zindagi karna wo mushkil fan hai 'ashhar' hashmi

jaise ki chalna paDe bijli ke nange tar par

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajnabiyat Thi Magar KHamosh Istifsar Par In English By Famous Poet Ashar Hashmi. Ajnabiyat Thi Magar KHamosh Istifsar Par is written by Ashar Hashmi. Read famous Poem Ajnabiyat Thi Magar KHamosh Istifsar Par for youth and Student by Ashar Hashmi. Free Download Ajnabiyat Thi Magar KHamosh Istifsar Par in PDF.