Dair-o-haram Bhi Aae Kai Is Safar Ke Bich
dair-o-haram bhi aae kai is safar ke bich
meri jabin-e-shauq tere sang-e-dar ke bich
kuchh lazzat-e-gunah bhi hai kuchh KHuda ka KHauf
insan ji raha hai isi KHair-o-shar ke bich
ye KHwahish-e-visal hai ya hijr ka suluk
chuTki si li hai dard ne aa kar jigar ke bich
bichhDe to ye malal ki saughat bhi mili
takid thi KHayal na aae safar ke bich
KHushbu ki tarah lafz the mani ba-qaid-e-rang
ye marhale bhi aae hain arz-e-hunar ke bich
dulhan bani thi 'asha' wo shab yaad hai mujhe
gum the mere hawas hujum-e-nazar ke bich
(741) Peoples Rate This