Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f9b7ee12f23a1018d945aa2be5726f66, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Ki Chah Mein Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai - Asghar Velori Poetry In English - Darsaal

Kisi Ki Chah Mein Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai

kisi ki chah mein gham kya hai aur KHushi kya hai

tujhe KHabar nahin mafhum-e-ashiqi kya hai

tapish mein dhup ke hoti hai qadr sae ki

na ho jo maut ka KHatra to zindagi kya hai

nahin hai farq andhere mein aur ujale mein

nazar na aae jahan to wo raushni kya hai

hain yun to saikDon maKHluq bazm-e-hasti mein

nahin hai dil mein mohabbat to aadmi kya hai

rahe jo dil se lipaT kar wo gham hi behtar hai

jo chand lamhon ki mehman hai wo KHushi kya hai

hai aadmi to uThana hai bar hasti ka

hai aas jine ki honTon pe kapkapi kya hai

tere liye to jhukana bhi sar ibaadat hai

agar jhuka na sake dil to bandagi kya hai

tumhaare jalwa-e-aqdas ka ek partaw hai

ye najm aur ye zohra ye mushtari kya hai

wo dil-lagi hai agar gudgudi si aa jae

jala de dil ko jo 'asghar' wo dil-lagi kya hai

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ki Chah Mein Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai In English By Famous Poet Asghar Velori. Kisi Ki Chah Mein Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai is written by Asghar Velori. Read famous Poem Kisi Ki Chah Mein Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai for youth and Student by Asghar Velori. Free Download Kisi Ki Chah Mein Gham Kya Hai Aur KHushi Kya Hai in PDF.