Kahne Aae The Kuchh Kaha Hi Nahin
kahne aae the kuchh kaha hi nahin
chal diye jaise kuchh suna hi nahin
is qadar zulm ibn-e-adam par
jaise us ka koi KHuda hi nahin
hum jama kar nigah baiThe hain
apni qismat ka dar khula hi nahin
fikr aaghaz hi ki hai sab ko
koi anjam sochta hi nahin
tere maqtal mein aa gae aaKHir
aur kuchh hum ko rasta hi nahin
wo tere naqsh-e-pa ko kya samjhe
jis ka sajde mein sar jhuka hi nahin
tu kitabon mein DhunDhta kya hai
ishq ki chaara-gar dawa hi nahin
jis ko sine se hum laga lete
hum ko aisa koi mila hi nahin
aur ab ji ke kya karen 'asghar'
ab to jine mein kuchh maza hi nahin
(728) Peoples Rate This