Baat Kuchh Bhi Na Thi Kyun KHafa Ho Gaya
baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya
jo tha apna mera ghair sa ho gaya
dhup shiddat ki thi chal paDa rah mein
man ka aanchal mera aasra ho gaya
mujh ko mauj-e-bala se koi Dar nahin
jab sahaara mera naKHuda ho gaya
ab to aankhon se aansu bhi bahte nahin
zulm jab un ka had se siwa ho gaya
dil mein 'asghar' ke KHushiyon ki barsat thi
hanste hanste wo kyun gham-zada ho gaya
(843) Peoples Rate This