Ek ShaKHs Apne Hath Ki Tahrir De Gaya

ek shaKHs apne hath ki tahrir de gaya

jaise mera nawishta-e-taqdir de gaya

ek dost mere qalb ki talif ke liye

kuchh zahr mein bujhae hue tir de gaya

barson ke baad us se mulaqat jab hui

bite dinon ki chand tasawir de gaya

ghere hue thi mujh ko shab-e-gham ki tirgi

wo muskura ke subh ki tanwir de gaya

chupke se raat aa ke mere ghar ke sahn mein

ek chand mere KHwab ki tabir de gaya

main apne e'timad ka ehsanmand hun

mujh ko zamane bhar mein jo tauqir de gaya

wo kaun tha kahan ka tha kya us ka nam tha

'rahi' jo tere sheron ko tasir de gaya

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek ShaKHs Apne Hath Ki Tahrir De Gaya In English By Famous Poet Asghar Rahi. Ek ShaKHs Apne Hath Ki Tahrir De Gaya is written by Asghar Rahi. Read famous Poem Ek ShaKHs Apne Hath Ki Tahrir De Gaya for youth and Student by Asghar Rahi. Free Download Ek ShaKHs Apne Hath Ki Tahrir De Gaya in PDF.