Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c1d7a3a3eb901d86f3f288f2184607a8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Safar Se LauT Aane Wali Hawa - Asghar Nadeem Sayed Poetry In English - Darsaal

Safar Se LauT Aane Wali Hawa

hawa hamare dalanon mein ruk si gai hai

tum se ijazat le kar

maidanon ki KHushbu phaila degi

meri kitabon aur tumhaari poshakon mein

us se puchho

kaise hain wo log jinhen pichhli barsat mein

hum ne be-ghar dekha tha

aur kaisi hai wo bachchi

jis ne hum donon ko apne miTTi ke pyale mein dudh pilaya tha

kaise hain suraj-mukhi ke nanhe-munne beTe

jin ko hum ne pyar kiya tha

aur wo sada-lauh charwahe

jin se hum ne apna rasta pucha tha

kaise hain dariya ke git

jinhen adhura chhoD aae the

kis ne hum donon ke baad unhen gaya hai

kaun hamare baad wahan se guzra

jahan nowember aa kar Thahar gaya tha

aur nowember dhup mein

jaise sayyahon ki wardi pahne

har manzar mein phail raha tha

hamein batao

tum kaisi ho

aur kaise hain zinda rahne wale zamane

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Se LauT Aane Wali Hawa In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Safar Se LauT Aane Wali Hawa is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Safar Se LauT Aane Wali Hawa for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Safar Se LauT Aane Wali Hawa in PDF.