Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_231fb74981b6913b40410689f26d99f5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Ek Din Chahiye - Asghar Nadeem Sayed Poetry In English - Darsaal

Mujhe Ek Din Chahiye

mujhe ek din chahiye

chahe chhuTTi ka din ho

ya apne iradon ke pul se guzarne ka

ya seb khane ka din ho

mujhe ek din chahiye

chahe sahil pe ja kar nahane ka din ho

ya apni pasandida mausiqi sunne ka din ho

daraKHton mein chhup kar kisi se lipaTne ka din ho

ya phir koi din

meri taqat mein Duba hua

mere ghusse ki had se nikalta hua

aisa din

jo khule aasman ki tarah apni banhon ko khole

mujhe ek din chahiye

taki main apne pyaron ke dil mein

Tapakte hue aansuon ko

KHushi ke samundar mein tabdil kar dun

mujhe ek din chahiye

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Ek Din Chahiye In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Mujhe Ek Din Chahiye is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Mujhe Ek Din Chahiye for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Mujhe Ek Din Chahiye in PDF.