Mohabbat Ki Nazm
meri baaten jaise dhup ho sarma ki dalanon mein
barfen teri KHamoshi ki
jin ke niche hath hamare mazbuti se juDe hue hain
sari bastiyan mere tere qayam ko tarsen
hum mehman banen to un ki buDhi gaen
KHushk thanon se dudh utaren
un ke bachche apne bap ka kahna manen
un ke parinde chhaton pe baiTh ke par phailaen
hum donon ko baDi-buDhiyan chhoDne aaen darwazon tak
meri baaten jaise sach ho Dare hue bachchon ka
teri KHamoshi hai jaise dulhan maiyon baiThe
sare raste meri teri chap ko tarsen
hum aaen to raste nasheb se uTh kar
hum donon ko dekhen
dur dur tak hath hilaen
KHushiyan chait ke mausam jaisi
aur jo qasmen hum ne khain
aashiq shahzadon ke maqbaron jaisi un mein sachchai hai
jaanan barish thaki hui hai
us ko apne baalon aur masamon mein so jaane do
main dhup ka ek mashrub
tumhaare waste
sarma ke suraj se mangta hun
(1041) Peoples Rate This