Dil Jari Hai

ai dost! kabhi to aa ke mil

ye dil tere liye jari hai

dil jari hai

dil aaTh pahar se jari hai

jaise koi dariya sawan mein

jaise koi barkha jaDe mein

aise mein badri kari hai

dil jari hai

dil aaTh pahar se jari hai

kabhi dil do-guna ho jata hai

jab tera dard samata hai

har sans mein ras mil jata hai

tere hone ka

tere nind-nagar mein aane ka

dil jari hai

dil azlon-azal se jari hai

tujhe nind samajh ke so lun main

aur oDh ke jiwan kar lun main

ye nind adhuri hoti hai

kahin sapne mein khul jati hai

tujhe kaise oDhun kambal mein

tujhe kaise pahnun jaDe mein

tujhe kaise bitun barson mein

jo bit chuka wo baadal tha

ab bitna chahun libason mein

tujhe oDhna chahun kapason mein

kabhi aa ke mil

aise ki achanak dhup khule

aise ki achanak sham Dhale

aise ki achanak dard uThe

meri nas nas mein

aur tu us dard mein shamil ho

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Jari Hai In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Dil Jari Hai is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Dil Jari Hai for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Dil Jari Hai in PDF.