ChhuTTi Ka Din
agar raat aur subh mein farq koi nahin hai
hawa mein parindon ke TuTe hue par
bikharne lage hain
zaminon pe ahkaam ke lambe chabuk se
tariKH-dan apni gardan jhukae hue hain
nasibon ki aawaz mein waqt Dhalne laga hai
to phir!
nazm likhne ki KHwahish
gunahgar insaf ke faislon se zyaada bari to nahin hai
agar mausamon ki ragon mein lahu jam gaya hai
shikari ki aankhon mein barud jalne laga hai
dinon ke tamawwuj mein
suraj ka chehra utarne laga hai
to phir
sans lene ki KHwahish
naqab-zan ki dhamki se zyaada bari to nahin hai
mujhe nazm likhne do
aur sans lene do
kuchh der apni kamanon ko nicha karo
aaj chhuTTi ka din hai
(764) Peoples Rate This