Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_54bf70691b7e85bf4f1907f0baa47d1f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aazadon Ka Git - Asghar Nadeem Sayed Poetry In English - Darsaal

Aazadon Ka Git

mere din sairab hue hain

ninden ghor samundar jaisi

meri aankh se lipTi hain

subh ki saat aazadon ka git bani hai

sath chali hai sayyahon ke raste par

main ek sawar

sada ke rath par baiTh ke jaun

suraj-mukhi ke jalse mein

baat karun tyauhaaron ki

jo mere wasl ke darwazon tak aa pahunche hain

meri umr ke khaliyanon mein

jin ki faslen nae nisab se utri hain

baat karun us nisbat ki

jo phul utarte mausam ki poshak mein aai

tere dil mein mere dil mein

kaise apni bhasha se main shahad banaun

kaise dudh kashid karun

un baaton se jo sab ki jaani-bujhi hain

mere din sairab hue hain

jaise suraj aur kabutar uD jate hain

apne apne Darbon se

jaise pani bah jata hai dariyaon ke aangan se

aise hi mere din kya malum?

kahan tak jaen

kin rishton mein jagna chahen

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazadon Ka Git In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Aazadon Ka Git is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Aazadon Ka Git for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Aazadon Ka Git in PDF.