Aaj Tum Aise Hanse
aaj tum aise hanse
jaise koi aazad kar de saikDon qaidi parinde
shor karte aasman ki samt
ya barish samundar par gire raftar mein
ya dhup khil jae bhari barsat mein
tum gunj ho KHushiyon ke tyauhaaron ki
jo hum bholpan mein apne bachpan ke safar mein bhul baiThe hain
tumhein kis ne kaha
itna hanso ki baal khul jaen
tumhein kis ne kaha
ye sadgi ka zaiqa tajwiz kar lo
kin bahadur raston par tum ne
apne nam ki mohren lagai hain
tumhein ye dhup ka zewar september ki nishani hai
september mere honTon meri aankhon mein samaya hai
september aa chuka hai mere dil mein
aur mere jism ke aahang mein tabdil hota ja raha hai
tum hansi mein git hansti ja rahi ho
kitna mushkil hai hansi ka git mein tabdil ho jaana
bahut mushkil
magar aise bahadur raston par sirf aazadi
hansi ke git
aur tere khule baalon mein
purwai chalegi
der tak aur dur tak
(741) Peoples Rate This