Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99d07a5d21c9d3418ea470ceaad22f34, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husain - Asghar Mehdi Hosh Poetry In English - Darsaal

Husain

husain nam hai ek raushni ke paikar ka

husain fikr-e-bashar ki azim manzil hai

husain sina-e-insan mein jagta dil hai

husain sirf kisi ek bashar ka nam nahin

husain ek alamat hai zindagi ke liye

husain azm-e-safar hai musafiron ke liye

husain zist ke tapte hue bayaban mein

hai qafilon ke liye ek ghane daraKHt ka nam

hai be-kason ke liye quwwat-e-amal ki misal

fasurda phulon ke daman pe misl-e-shabnam hai

husain zist ka ek ba-waqar parcham hai

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husain In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Husain is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Husain for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Husain in PDF.