Gharaunde
kahte hain ek roz ye mirriKH bhi kabhi
apni zamin hi ki tarah ek jahan tha
aabaad the wahan bhi baDe pur-shikoh log
ilm-o-hunar mein hikmat-o-danish mein taq the
muTThi mein un ki sari tawanai qaid thi
atom ki quwwaton pe baDa iKHtiyar tha
ek roz un ki ghalati se ya phir ghurur se
atom ki sari quwwaten aazad ho gain
sari hawa-e-zist faza se nikal gai
mirriKH jo zamin hi jaisa jahan tha
jal-bhun ke murda KHak ka ek Dher rah gaya
hum bhi to ilm-o-hikmat-o-danish mein kam nahin
hum ko bhi apni atomi taqat pe naz hai
(796) Peoples Rate This