Pyasa Raha Main Baala-qadi Ke Fareb Mein
pyasa raha main baala-qadi ke fareb mein
dariya bahut qarib tha mujh se nasheb mein
mauqa mila tha phir bhi na main aazma saka
us ki pasand ke kai sikke the jeb mein
pardes jaane wala palaT bhi to sakta hai
itna kahan shakeb tha is na-shakeb mein
sunta to hai badan ki ibaadat pe aayaten
aata nahin hai phir bhi kisi ke fareb mein
khilta hai us ke jism pe qatil ka bhi libas
kya aib DhunDhta koi us jama-zeb mein
bhuka parinda shaKH pe baiTha aur uD gaya
shayad koi miThas na thi kachche seb mein
(859) Peoples Rate This