Phul Patthar Ki ChaTanon Pe Khilaen Hum Bhi
phul patthar ki chaTanon pe khilaen hum bhi
aap kahiye to koi sher sunaen hum bhi
ret par khelte bachchon ki nazar se bach kar
aao ek KHwab ki taswir banaen hum bhi
ab ke mausam ki hawaon mein baDi wahshat hai
zard patton ki tarah TuT na jaen hum bhi
qafile aur bhi is dasht se guzre honge
le ke aae hain faqiron se duaen hum bhi
log jalte hue ghar dekh ke KHush hote hain
apna ghar ho to kabhi aag lagaen hum bhi
muntazir hai koi wadi koi basti koi dasht
ab pahaDon se pighal kar utar aaen hum bhi
hum se kya kahte ho fayyazi-e-dast-e-KHairaat
isi kuche mein lagate hain sadaen hum bhi
(1214) Peoples Rate This