Kaam Kuchh To Lena Tha Apne Dida-e-tar Se
kaam kuchh to lena tha apne dida-e-tar se
kaT din kai raaten aansuon ke KHanjar se
nind hai thakan si hai silwaTen hain yaaden hain
kitne log uThenge subh mere bistar se
jaan-bujh kar hum ne baadban khole hain
kis ko ab palaTna hai be-karan samundar se
bhigna muzir to tha phir bhi kaisi lazzat thi
jab ghaTaen uTThin thin main qarib tha ghar se
aaj to hawa bhi hai tez barf-bari bhi
yun bhi nind kya aati ek shikasta chadar se
jab bhi paenge mauqa phul toD hi lenge
bachche ruk nahin sakte baghban ke Dar se
ai nashat ke zino tum ko yaad to hoga
ek salam kah dena us madina-aKHtar se
(829) Peoples Rate This