Jala Jala Ke Diye Pas Pas Rakhte Hain
jala jala ke diye pas pas rakhte hain
hum apne aap ko aksar udas rakhte hain
gulon ka rang phalon ki miThas rakhte hain
kuchh aadmi bhi shajar ka libas rakhte hain
unhen bhi KHali gilason ka TuTna hai pasand
zarur wo bhi koi zaKHm-e-yas rakhte hain
jo log nek the shabnam se ho gae sairab
wo kya karen jo samundar ki pyas rakhte hain
sukut-e-ab pe kankar uchhaal kar KHush the
ab aaj pani pe ghar ki asas rakhte hain
jinhon ne abr ke sae kabhi nahin dekhe
wo regzar bhi phulon ki aas rakhte hain
hawas ki naw badan ke bhanwar mein Dub gai
hum aise aur kai iqtibas rakhte hain
(1008) Peoples Rate This