Is Se Pahle Ki Hawa Mujhko UDa Le Jae
is se pahle ki hawa mujh ko uDa le jae
apni zulfon mein koi aa ke saja le jae
jis ko is ahd mein jine ka hunar aata ho
us se kah do ki meri umr laga le jae
chandni khiDki se kamre mein utar aati hai
koi taswir na album se chura le jae
hausla dew se laDne ka kisi mein bhi nahin
chahte sab hain pari aa ke jaga le jae
apni KHatir na sahi kuchh to bacha kar rakkho
luTne koi agar aae to kya le jae
ibn-e-adam na kaho us ko farishta samjho
KHud ko jo dana-e-gandum se bacha le jae
(833) Peoples Rate This