Hamesha Tang Raha Mujh Pe Zindagi Ka Libas
hamesha tang raha mujh pe zindagi ka libas
kabhi khila na mere jism par KHushi ka libas
hasin phulon ki sohbat mein aur kya hota
ulajh ke rah gaya kanTon mein zindagi ka libas
jo jal gaya hai wahi jaanta hai apni jalan
kisi ke jism pe aTta nahin kisi ka libas
ye kya sitam kiya tum ne to chaak kar Dala
zara zara sa masakna tha dosti ka libas
sambhal sambhal ke chalo ehtiyat se pahno
baDe nasib se milta hai aadmi ka libas
libas-e-dar se mujh ko Darane walo suno
pahan ke aaj main aaya hun KHud-kushi ka libas
wo ek faqir tha jis ne utar phenka tha
safed-poshon ke munh par tawangari ka libas
(1019) Peoples Rate This