Chehron Ko Be-naqab Samajhne Laga Tha Main
chehron ko be-naqab samajhne laga tha main
sab ko khuli kitab samajhne laga tha main
jalna hi chahiye tha mujhe aur jal gaya
angaron ko gulab samajhne laga tha main
ye kya hua ki nind hi aankhon se uD gai
kuchh kuchh zaban-e-KHwab samajhne laga tha main
apni hi raushni se nazar kha gai fareb
zarron ko aaftab samajhne laga tha main
phir kyun saza-e-tishna-labi di gai mujhe
pani ko bhi sharab samajhne laga tha main
buniyaad apne ghar ki fazaon mein Dal di
basti ko zer-e-ab samajhne laga tha main
mujh se hi ho gai hai sawal-e-wafa ki bhul
duniya ko la-jawab samajhne laga tha main
(826) Peoples Rate This