Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_657b10b8f5d0e2b6d65187e64df8f040, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aae The Ghar Mein Aag Lagane Sharir Log - Asghar Mehdi Hosh Poetry In English - Darsaal

Aae The Ghar Mein Aag Lagane Sharir Log

aae the ghar mein aag lagane sharir log

aur hans rahe the dur khaDe be-zamir log

himmat kahan hai mujh mein ki sach bol kar dikhaun

baiThe hue hain joDe kamanon mein tir log

har aadmi ke lab pe hai ek dil-shikan sawal

aaKHir kahan chale gae wo dil-pazir log

ek rose kah diya tha haqir inkisar mein

ye baat sach samajh gae sare haqir log

dast-e-talab daraaz karen bhi to kya karen

dekhe gae hain dast-nigar dast-gir log

jo puchhna hai puchh le aur chhoD rasta

Tikte nahin kisi bhi jagah hum faqir log

barpa kiya gaya tha gharibi miTao jashn

shamil the is mein shahr ke sare amir log

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aae The Ghar Mein Aag Lagane Sharir Log In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Aae The Ghar Mein Aag Lagane Sharir Log is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Aae The Ghar Mein Aag Lagane Sharir Log for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Aae The Ghar Mein Aag Lagane Sharir Log in PDF.