Aankhon Ki Nadi Sukh Gai Phir Bhi Hara Hai
aankhon ki nadi sukh gai phir bhi hara hai
wo dard ka pauda jo mere dil mein uga hai
jaan de ke bhi chahun to use pa na sakun main
wo chand ka TukDa jo dariche mein jaDa hai
sailab hain chehron ke to aawaz ke dariya
ye shahr-e-tamanna to nahin dasht-e-sada hai
'asghar' ye safar shauq ka ab kaise kaTega
jo hum ne tarasha tha wo but TuT gaya hai
(792) Peoples Rate This