Ye Ishq Ne Dekha Hai Ye Aql Se Pinhan Hai
ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai
qatre mein samundar hai zarre mein bayaban hai
hai ishq ki mahshar mein yun mast o KHiraman hai
dozaKH ba-gareban hai firdaus ba-daman hai
hai ishq ki shorish se ranai o zebai
jo KHun uchhalta hai wo rang-e-gulistan hai
phir garm-e-nawazish hai zau mehr-e-daraKHshan ki
phir qatra-e-shabnam mein hangama-e-tufan hai
ai paikar-e-mahbubi main kis se tujhe dekhun
jis ne tujhe dekha hai wo dida-e-hairan hai
sau bar tera daman hathon mein mere aaya
jab aankh khuli dekha apna hi gareban hai
ek shorish-e-be-wasl ek aatish-e-be-parda
aafat-kada-e-dil mein ab kufr na iman hai
dhoka hai ye nazron ka bazicha hai lazzat ka
jo kunj qafas mein tha wo asl gulistan hai
ek ghuncha-e-afsurda ye dil ki haqiqat thi
ye maujzani KHun ki rangini-e-paikan hai
ye husn ki maujen hain ya josh-e-tabassum hai
us shoKH ke honTon par ek barq si larzan hai
'asghar' se mile lekin 'asghar' ko nahin dekha
ashaar mein sunte hain kuchh kuchh wo numayan hai
(942) Peoples Rate This