Tu Ek Nam Hai Magar Sada-e-KHwab Ki Tarah
tu ek nam hai magar sada-e-KHwab ki tarah
main ek harf hun magar nishan-e-ab ki tarah
mujhe samajh ki main hi asl raaz-e-kaenat hun
dhara hun tere samne khuli kitab ki tarah
main koi git hun magar sada ki bandishon mein hun
mere lahu mein rag hai sam-e-azab ki tarah
meri panah-gah thi unhi KHalaon mein kahin
main sath-e-ab par raha habab-e-ab ki tarah
main 'asghar'-e-hazin kabhi kisi ke doston mein tha
wo din bhi mujh ko yaad hain KHayal-e-KHwab ki tarah
(850) Peoples Rate This