Samne Un Ke TaDap Kar Is Tarah Fariyaad Ki
samne un ke taDap kar is tarah fariyaad ki
main ne puri shakl dikhla di dil-e-nashad ki
ab yahi hai wajh-e-taskin KHatir-e-nashad ki
zindagi main ne dayar-e-husn mein barbaad ki
hosh par bijli giri aankhen bhi KHira ho gain
tum to kya the ek jhalak si thi tumhaari yaad ki
chal diya majnun to sahra se kisi jaanib magar
ek sada gunji hui hai nala o fariyaad ki
naghma-e-pur-dard chheDa main ne is andaz se
KHud-ba-KHud mujh par nazar paDne lagi sayyaad ki
dil hua majbur jis dam ashk-e-hasrat ban gaya
ruh jab taDpi to surat ban gai fariyaad ki
is harim-e-quds mein kya lafz o mani ka guzar
phir bhi sab baaten pahunchti hain lab-e-fariyaad ki
tamtama uThe wo aariz mere arz-e-shauq par
husn jag uTha wahin jab ishq ne fariyaad ki
aashiyan mein ab kisi surat nahin paDta hai chain
thi nazar tasir mein Dubi hui sayyaad ki
sher mein rangini-e-josh-e-taKHayyul chahiye
mujh ko 'asghar' kam hai aadat nala o fariyaad ki
(944) Peoples Rate This