Raqs-e-masti Dekhte Josh-e-tamanna Dekhte
raqs-e-masti dekhte josh-e-tamanna dekhte
samne la kar tujhe apna tamasha dekhte
kam se kam husn-e-taKHyyul ka tamasha dekhte
jalwa-e-yusuf to kya KHwab-e-zuleKHa dekhte
kuchh samajh kar hum ne rakkha hai hijab-e-deher ko
toD kar shishe ko phir kya rang-e-sahba dekhte
roz-e-raushan ya shab-e-mahtab ya subh-e-chaman
hum jahan se chahte wo ru-e-zeba dekhte
qalb par girti taDap kar phir wahi barq-e-jamal
har bun-e-mu mein wahi aashob o ghaugha dekhte
sad-zaman o sad-makan o in-jahan o aan-jahan
tum na aa jate to hum wahshat mein kya kya dekhte
is tarah kuchh rang bhar jata nigah-e-shauq mein
jalwa KHud betab ho jata wo parda dekhte
jin ko apni shoKHiyon par aaj itna naz hai
wo kisi din meri jaan-e-na-shakeba dekhte
mai-kade mein zindagi hai shor-e-nosha-nosh hai
miT gae hote agar hum jam o mina dekhte
(1134) Peoples Rate This