Pata Nahin Jo Lazzat-e-ah-e-sahar Ko Main
pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main
phir kya karunga le ke ilahi asar ko main
aashob-gah-e-hashr mujhe kyun ajib ho
jab aaj dekhta hun teri rahguzar ko main
aisa bhi ek jalwa tha us mein chhupa hua
us ruKH pe dekhta hun ab apni nazar ko main
jina bhi aa gaya mujhe marna bhi aa gaya
pahchanne laga hun tumhaari nazar ko main
wo shoKHiyon se jalwa dikha kar to chal diye
un ki KHabar ko jaun ki apni KHabar ko main
aahon ne meri KHirman-e-hasti jala diya
kya munh dikhaunga teri barq-e-nazar ko main
baqi nahin jo lazzat-e-bedari-e-fana
phir kya karunga zindagi-e-be-asar ko main
'asghar' mujhe junun nahin lekin ye haal hai
ghabra raha hun dekh ke diwar-o-dar ko main
(1603) Peoples Rate This